Hazrat Sheikh Ahmed Ghazali
Rahmatullah Alayh
Aap Hazrat Shaikh Abu Bakar Nisaaj Rahmatullah Alayh ke kaamil khalifa aur naamwar mureed hain. Aap hujjata al - islam Sheikh Imam Mohammad Ghazali Rahmatullah Alayh ke bhai hain. Aap ki kai tansefaat o talifaat hain. Aapne kayi umdah risalay likhay. Aap kashaf o karamat mein be misaal thay .
Aik din 1 shakhs ne aap se aap ke bhai Imam Mohammad Ghazali Rahmatullah Alayh ka haal poocha ke woh kahan hain to aap ne jawab diya ke woh is waqt khoon mein doobe hue hain. Sayel heran ho gaya aur foran Imam sahib ki khidmat mein haazir howa aur arz ki Allah ka shukar hai ke aap ko sahih aur tandrost paaya jab kay aap ke bhai Sheikh Ahmed Ghazali Rahmatullah Alayh ne abhi abhi aap ke baray mein bataya tha ke aap khoon mein ghark hain. Mein to aapki zindagi se na umeed ho gaya tha. Imam sahib ne farmaya mere bhai ne durust kaha tha mein is waqt haiz o nafaas ke aik masla mein mutaghraq tha .
Qazwin se aik sufi Toose mein Hujjata al - Islam Imam Mohammad Ghazali Rahmatullah Alayh ki khidmat mein aaya aur un se un ke bhai Sheikh Ahmed Ghazali Rahmatullah Alayh ka haal poocha. Aap jo jantay thay bayan kar diya. Phir Imam Ghazali Rahmatullah Alayh ne farmaya tumahray paas agar mere bhai Sheikh Ahmed Ghazali Rahmatullah Alayh ka kuch kalaam ho to mujhe mutala karo. Is mulaqati ke paas jo kuch tha woh paish kar diya. Hazrat Imam Ghazali Rahmatullah Alayh ne usay parha aur thori dair baad farmaya subhan Allah jo mein chahta tha woh Sheikh Ahmed Ghazali Rahmatullah Alayh ne pa liya hai .
Aap Safeena tul Aulia ke mutabiq 570 Hijri jabkay Nafhaat ul Anas ke mutabiq 517 Hijri mein is dar e fani se rukhsat hue. Aap ki aakhri aaraam gaah Qazwin Iran mein waqay hai .